koi manzar ho aankhon ko bahut achchha dikhata hai
koī manzar ho āñkhoñ ko bahut achchhā dikhātā hai
mohabbat meñ ye dil sahrā chaman jaisā dikhātā hai
badaltā kuchh nahīñ hai ishq meñ mausam guzarte haiñ
hameñ to aa.ina ab tak vahī chehra dikhātā hai
kabhī bāġh-e-tamannā meñ ik aisā phuul khiltā hai
purāne peḌ paudoñ ko jo phir taaza dikhātā hai
bhaTakne ke liye ham ḳhvāb se bāhar nikalte haiñ
koī aakar hameñ phir ḳhvāb kā rasta dikhātā hai
tum aisī mauj meñ ho jo palaT kar aa nahīñ saktī
hameñ girdāb apne pher meñ kyā kyā dikhātā hai
koi manzar ho aankhon ko bahut achchha dikhata hai
mohabbat mein ye dil sahra chaman jaisa dikhata hai
badalta kuchh nahin hai ishq mein mausam guzarte hain
hamein to aaina ab tak wahi chehra dikhata hai
kabhi bagh-e-tamanna mein ek aisa phul khilta hai
purane peD paudon ko jo phir taza dikhata hai
bhaTakne ke liye hum KHwab se bahar nikalte hain
koi aakar hamein phir KHwab ka rasta dikhata hai
tum aisi mauj mein ho jo palaT kar aa nahin sakti
hamein girdab apne pher mein kya kya dikhata hai
- Book : رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 29)
- Author : اشفاق عامر
- Publication : عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.