koi manzar na mausam samne hai
koī manzar na mausam sāmne hai
magar vo hai ki har dam sāmne hai
mohabbat sar-bulandī chāhtī hai
phir ik āñchal kā parcham sāmne hai
kahīñ ḳhushbū kahīñ jhankār sī hai
vahī to hai jo paiham sāmne hai
mirī āñkhoñ se kab ojhal nahīñ hai
vo ik lamha jo har dam sāmne hai
vo kyā shai thī ḳhatoñ meñ boltī thī
ye kyā shai hai mujassam sāmne hai
koi manzar na mausam samne hai
magar wo hai ki har dam samne hai
mohabbat sar-bulandi chahti hai
phir ek aanchal ka parcham samne hai
kahin KHushbu kahin jhankar si hai
wahi to hai jo paiham samne hai
meri aankhon se kab ojhal nahin hai
wo ek lamha jo har dam samne hai
wo kya shai thi KHaton mein bolti thi
ye kya shai hai mujassam samne hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.