koi manzil na koi jada hai
koi manzil na koi jada hai
Mohammed Nabi Khan Jamal Soveda
MORE BYMohammed Nabi Khan Jamal Soveda
koī manzil na koī jaada hai
ab musāfir kā kyā irāda hai
dil ye kahtā hai chāñd niklegā
tīrgī kal se kuchh ziyāda hai
jitne ġham hoñ mujhe atā kījiye
dāman-e-dil bahut kushāda hai
kam sahī iltifāt-e-dost magar
merī ummīd se ziyāda hai
ham 'suvaidā' se mil ke aa.e haiñ
fikr rañgīñ mizāj saada hai
koi manzil na koi jada hai
ab musafir ka kya irada hai
dil ye kahta hai chand niklega
tirgi kal se kuchh ziyaada hai
jitne gham hon mujhe ata kijiye
daman-e-dil bahut kushada hai
kam sahi iltifat-e-dost magar
meri ummid se ziyaada hai
hum 'suwaida' se mil ke aae hain
fikr rangin mizaj sada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.