koi marta nahin KHasaron se
koī martā nahīñ ḳhasāroñ se
ham ne sīkhā hai ābshāroñ se
jo mizājan yazīd hote haiñ
duur rahtā huuñ aise yāroñ se
be-zabānoñ se baat karnī thī
kaam lenā paḌā ishāroñ se
tere lahje kā zā.iqa bhī dost
āḳhirash jā milā anāroñ se
dars hai ye hamāre aaqā kā
pyaar karnā hai be-sahāroñ se
koi marta nahin KHasaron se
hum ne sikha hai aabshaaron se
jo mizajan yazid hote hain
dur rahta hun aise yaron se
be-zabanon se baat karni thi
kaam lena paDa ishaaron se
tere lahje ka zaiqa bhi dost
aaKHirash ja mila anaron se
dars hai ye hamare aaqa ka
pyar karna hai be-sahaaron se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.