koi marta nahin kisi ke baghair
koī martā nahīñ kisī ke baġhair
zinda rahtā hai zindagī ke baġhair
zindagī ḳhush-gavār lagtī hai
bā'z-auqāt raushnī ke baġhair
har taraf sirf gahrā paanī hai
dariyā kyā shai hai jal-parī ke baġhair
jānñā aag se guzarnā hai
chain paḌtā hai āgahī ke baġhair
barq ke bin chamak rahā huuñ maiñ
yā'nī ḳhush-bāsh huuñ ḳhushī ke baġhair
shā'irī kyā hai bekalī ke sivā
bekalī kyā hai shā'irī ke baġhair
maiñ tumhāre baġhair aisā huuñ
jis tarah diin hai nabī ke baġhair
koi marta nahin kisi ke baghair
zinda rahta hai zindagi ke baghair
zindagi KHush-gawar lagti hai
ba'z-auqat raushni ke baghair
har taraf sirf gahra pani hai
dariya kya shai hai jal-pari ke baghair
jaanna aag se guzarna hai
chain paDta hai aagahi ke baghair
barq ke bin chamak raha hun main
ya'ni KHush-bash hun KHushi ke baghair
sha'iri kya hai bekali ke siwa
bekali kya hai sha'iri ke baghair
main tumhaare baghair aisa hun
jis tarah din hai nabi ke baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.