koi maTka baghair pende ka
koī maTkā baġhair peñde kā
āḳhirī ranj ek kavve kā
zindagī bhar qatār meñ rahiye
kaam hotā hai ek lamhe kā
ghaT rahā hai mirā vujūd magar
vazn baḌhne lagā hai takiye kā
tū haqīqat meñ aane vaalā sher
aur maiñ jānvar gaDariye kā
ġham kī tash.hīr ke sivā 'miqdād'
kaam koī nahīñ hai baḳhiye kā
koi maTka baghair pende ka
aaKHiri ranj ek kawwe ka
zindagi bhar qatar mein rahiye
kaam hota hai ek lamhe ka
ghaT raha hai mera wujud magar
wazn baDhne laga hai takiye ka
tu haqiqat mein aane wala sher
aur main jaanwar gaDariye ka
gham ki tashhir ke siwa 'miqdad'
kaam koi nahin hai baKHiye ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.