koi mauqa faraham ho kisi din auj par jaun
koī mauqa farāham ho kisī din auj par jā.ūñ
zarīya ho to maiñ gardūñ se taare toḌ bhī lā.ūñ
hai ḳhatra har ghaḌī lāhaq yahāñ ḳhud se bichhaḌne kā
kushāda raah hai phir bhī guzar maiñ kar nahīñ pā.ūñ
jahāñ hai raushnī vahshat udhar bhī raqs kartī hai
hudūd-e-mahr hī se duur jā.ūñ to kahāñ jā.ūñ
mire hamrāh jaagī hī kahīñ rah jaa.eñ na āñkheñ
chalo un ko harīm-e-ḳhvāb ke saa.e meñ rakh aa.uuñ
ziyāñ-kārī kare ilzām mere naam dhar jaa.e
bajā hai koī tohmat meñ bhī us ke naam dhar jā.ūñ
koi mauqa faraham ho kisi din auj par jaun
zariya ho to main gardun se tare toD bhi laun
hai KHatra har ghaDi lahaq yahan KHud se bichhaDne ka
kushada rah hai phir bhi guzar main kar nahin paun
jahan hai raushni wahshat udhar bhi raqs karti hai
hudud-e-mahr hi se dur jaun to kahan jaun
mere hamrah jagi hi kahin rah jaen na aankhen
chalo un ko harim-e-KHwab ke sae mein rakh aaun
ziyan-kari kare ilzam mere nam dhar jae
baja hai koi tohmat mein bhi us ke nam dhar jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.