koi mauqa nahin chhoDa kabhi qatil banane mein
koī mauqa nahīñ chhoḌā kabhī qātil banāne meñ
galā ghoñTā hai dil kā ḳhuub dil ko dil banāne meñ
kahīñ ta.alīm ne āñkhoñ ke sab parde haTā Daale
kahīñ ta.alīm kā hī haath hai jāhil banāne meñ
akelā-pan banā detā hai insānoñ ko faulādī
magar sau tāqateñ lagtī haiñ ik buzdil banāne meñ
use lazzat kahāñ ma.alūm hogī rah ke chhāloñ kī
guzārī zindagī jis ne na.ī manzil banāne meñ
koi mauqa nahin chhoDa kabhi qatil banane mein
gala ghonTa hai dil ka KHub dil ko dil banane mein
kahin talim ne aankhon ke sab parde haTa Dale
kahin talim ka hi hath hai jahil banane mein
akela-pan bana deta hai insanon ko fauladi
magar sau taqaten lagti hain ek buzdil banane mein
use lazzat kahan malum hogi rah ke chhaalon ki
guzari zindagi jis ne nai manzil banane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.