koi mausam bhi hum ko ras nahin
koī mausam bhī ham ko raas nahīñ
vo nahīñ hai to kuchh bhī paas nahīñ
ek muddat se dil ke paas hai vo
ek muddat se dil udaas nahīñ
jab se dekhā hai shaam āñkhoñ meñ
tab se qaa.em mire havās nahīñ
mere lahje meñ us kī ḳhushbū hai
us kī bātoñ meñ merī baas nahīñ
jitnā shaffāf hai tirā āñchal
itnā ujlā mirā libās nahīñ
sāmne mere ek dariyā hai
hoñT sūkhe haiñ phir bhī pyaas nahīñ
jis ko chāhā hai jān-o-dil se 'hasan'
jaane vo kyuuñ nazar-shanās nahīñ
koi mausam bhi hum ko ras nahin
wo nahin hai to kuchh bhi pas nahin
ek muddat se dil ke pas hai wo
ek muddat se dil udas nahin
jab se dekha hai sham aankhon mein
tab se qaem mere hawas nahin
mere lahje mein us ki KHushbu hai
us ki baaton mein meri bas nahin
jitna shaffaf hai tera aanchal
itna ujla mera libas nahin
samne mere ek dariya hai
honT sukhe hain phir bhi pyas nahin
jis ko chaha hai jaan-o-dil se 'hasan'
jaane wo kyun nazar-shanas nahin
- Book : Khawab Suhane yaad aate hain (Pg. 74)
- Author : Hasan Rizvi
- Publication : Khazina ilm-o-adab al-karim market urdu bazar, Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.