koi mausam bhi hasb-e-haal nahin
koī mausam bhī hasb-e-hāl nahīñ
phir bhī dil meñ koī malāl nahīñ
ho ga.e zaḳhm is qadar mānūs
koī tadbīr-e-indimāl nahīñ
shikva-e-dil meñ raat biit ga.ī
hijr se kam tirā visāl nahīñ
ab zarā der ko Thahar jaao
ab sitāroñ kī vaisī chaal nahīñ
laakh tamsīleñ isti.āre hoñ
phir bhī terī koī misāl nahīñ
zabt hai dīdanī suḳhan merā
mire chehre pe ishti.āl nahīñ
koi mausam bhi hasb-e-haal nahin
phir bhi dil mein koi malal nahin
ho gae zaKHm is qadar manus
koi tadbir-e-indimal nahin
shikwa-e-dil mein raat bit gai
hijr se kam tera visal nahin
ab zara der ko Thahar jao
ab sitaron ki waisi chaal nahin
lakh tamsilen istiare hon
phir bhi teri koi misal nahin
zabt hai didani suKHan mera
mere chehre pe ishtial nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.