koi mauzu ho tera hawala achchha lagta hai
koī mauzū' ho terā havāla achchhā lagtā hai
phir us ke baa'd har chup rahne vaalā achchhā lagtā hai
ik aisī be-natīja jang laḌ kar aa rahā huuñ maiñ
ki ab shamshīr se baḌh kar piyāla achchhā lagtā hai
bahut ārā.ish-e-ḳhāna ke mansūbe banātā huuñ
magar kamre kī chhat par ek jaalā achchhā lagtā hai
mujhe achchhā nahīñ lagtā zabāñ ko band kar lenā
magar bachchoñ ke hāthoñ meñ nivāla achchhā lagtā hai
kabhī dil shaad rahtā hai kisī ke milte rahne se
kabhī koī bichhaḌ kar jaane vaalā achchhā lagtā hai
'anāsir se alag kar ke maiñ tujh ko dekhnā chāhūñ
tire hamrāh sab kuchh lā-muhāla achchhā lagtā hai
isī ik baat par hai ittifāq-o-iḳhtilāf us se
use ā.īna aur mujh ko piyāla achchhā lagtā hai
vo koī aur hai ham meñ se hargiz ho nahīñ saktā
jise is ghar se bāhar kā ujālā achchhā lagtā hai
koi mauzu' ho tera hawala achchha lagta hai
phir us ke ba'd har chup rahne wala achchha lagta hai
ek aisi be-natija jang laD kar aa raha hun main
ki ab shamshir se baDh kar piyala achchha lagta hai
bahut aaraish-e-KHana ke mansube banata hun
magar kamre ki chhat par ek jala achchha lagta hai
mujhe achchha nahin lagta zaban ko band kar lena
magar bachchon ke hathon mein niwala achchha lagta hai
kabhi dil shad rahta hai kisi ke milte rahne se
kabhi koi bichhaD kar jaane wala achchha lagta hai
'anasir se alag kar ke main tujh ko dekhna chahun
tere hamrah sab kuchh la-muhaala achchha lagta hai
isi ek baat par hai ittifaq-o-iKHtilaf us se
use aaina aur mujh ko piyala achchha lagta hai
wo koi aur hai hum mein se hargiz ho nahin sakta
jise is ghar se bahar ka ujala achchha lagta hai
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 84)
- Author : Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.