koi mehrab se aage aage
koī mehrāb se aage aage
raushnī ḳhvāb se aage aage
ek dariyā kā tasalsul mujh meñ
ek girdāb se aage aage
ruuh kā tasht sajā rakkhā hai
jism kī qaab se aage aage
pīchhe āvāz añdherā dhaḌkā
saaya mehrāb se aage aage
merā har ḳhvāb thā tah-dār bahut
ḳhvāb thā ḳhvāb se aage aage
chīḳhtī phirtī hai patjhaḌ lekin
naḳhl-e-shādāb se aage aage
koi mehrab se aage aage
raushni KHwab se aage aage
ek dariya ka tasalsul mujh mein
ek girdab se aage aage
ruh ka tasht saja rakkha hai
jism ki qab se aage aage
pichhe aawaz andhera dhaDka
saya mehrab se aage aage
mera har KHwab tha tah-dar bahut
KHwab tha KHwab se aage aage
chiKHti phirti hai patjhaD lekin
naKHl-e-shadab se aage aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.