koi mil jae agar waqt guzari ke liye
koī mil jaa.e agar vaqt guzārī ke liye
apnā kar luuñ maiñ use zindagī saarī ke liye
balcony pe khaḌī laḌkiyāñ kab sochtī haiñ
ye jagah Thiik nahīñ ā.ina-dārī ke liye
sirf ġhazloñ se hī andāza lagā loge miyāñ
yā lahū thūknā lāzim hai likhārī ke liye
dost tujh ko hai bahut shauq muhim-jūī kā
chal imārāt ko chalte haiñ safāri ke liye
ye jo duniyā ke masā.il haiñ ye duniyā jaane
ham ko milnā hai faqat 'ishq-guzārī ke liye
shaam ko shaam se aage nahīñ jaane dūñgā
aap kī aañkh se girtī huī dhārī ke liye
raat hotī hai ki tāroñ ko gineñ ham 'anjum'
din nikaltā hai yahāñ zaḳhm-shumārī ke liye
koi mil jae agar waqt guzari ke liye
apna kar lun main use zindagi sari ke liye
balcony pe khaDi laDkiyan kab sochti hain
ye jagah Thik nahin aaina-dari ke liye
sirf ghazlon se hi andaza laga loge miyan
ya lahu thukna lazim hai likhaari ke liye
dost tujh ko hai bahut shauq muhim-jui ka
chal imaraat ko chalte hain safari ke liye
ye jo duniya ke masail hain ye duniya jaane
hum ko milna hai faqat 'ishq-guzari ke liye
sham ko sham se aage nahin jaane dunga
aap ki aankh se girti hui dhaari ke liye
raat hoti hai ki taron ko ginen hum 'anjum'
din nikalta hai yahan zaKHm-shumari ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.