koi misal nahin hai teri misal ke baad
koī misāl nahīñ hai tirī misāl ke baad
maiñ be-ḳhayāl huā huuñ tire ḳhayāl ke baad
bas ik malāl pe tū zindagī tamām na kar
baḌe malāl mileñge mire malāl ke baad
har ek zaḳhm ko ashkoñ se dho ke chuum liyā
maiñ aise Thiik huā us kī dekh-bhāl ke baad
ulajh ke rah gayā vo jaal meñ tabīboñ ke
marīz ghar nahīñ lauTā hai aspatāl ke baad
duā salām se aage maiñ baḌh nahīñ paatā
use bhī sochnā paḌtā hai hāl-chāl ke baad
hamāre biich meñ jo hai sahī nahīñ hai vo
use ye yaad bhī aaya to chaar saal ke baad
hazāroñ ḳhvāb jo āñkhoñ ke āsare the kabhī
yatīm ho ga.e āñkhoñ ke intiqāl ke baad
koi misal nahin hai teri misal ke baad
main be-KHayal hua hun tere KHayal ke baad
bas ek malal pe tu zindagi tamam na kar
baDe malal milenge mere malal ke baad
har ek zaKHm ko ashkon se dho ke chum liya
main aise Thik hua us ki dekh-bhaal ke baad
ulajh ke rah gaya wo jal mein tabibon ke
mariz ghar nahin lauTa hai aspatal ke baad
dua salam se aage main baDh nahin pata
use bhi sochna paDta hai haal-chaal ke baad
hamare bich mein jo hai sahi nahin hai wo
use ye yaad bhi aaya to chaar sal ke baad
hazaron KHwab jo aankhon ke aasare the kabhi
yatim ho gae aankhon ke intiqal ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.