koi model na koi ideal chahiye hai
koī model na koī ideal chāhiye hai
aaj bhī chāhiye tū hī mujhe kal chāhiye hai
qaid kar bāñhoñ meñ phir zulf ko zanjīr banā
ab koī kāT-kapaT aur na chhal chāhiye hai
merī ġhaflat hai tire husn-e-mujassam kā zavāl
mujh ko tanhā.ī meñ pur-nūr ḳhalal chāhiye hai
ek muddat se maiñ mahbūs huuñ apne andar
dam ghuTā jaatā hai kuchh radd-o-badal chāhiye hai
vaqt kā koī taqāzā nazar-andāz nahīñ
dil ba-zid hai use hairānī kā hal chāhiye hai
roTiyāñ señkne baiThe haiñ siyāsat vaale
un ko to barq-o-sharar raqs-e-ajal chāhiye hai
īstāda haiñ gulistāñ meñ bahā.im har sū
tā.iro ġhul karo ye nek amal chāhiye hai
in ko māhaul kī sangīnī kā ehsās nahīñ
jo ye kahte haiñ ki rangīn ġhazal chāhiye hai
izzat-e-nafs kā mushkil hai tahaffuz ya.anī
ek firqe ko yahāñ jang-o-jadal chāhiye hai
'sarfarāz' ab vahī haT-dharm qile kā ġhāsib
kah rahā hai ki use tāj-mahal chāhiye hai
koi model na koi ideal chahiye hai
aaj bhi chahiye tu hi mujhe kal chahiye hai
qaid kar banhon mein phir zulf ko zanjir bana
ab koi kaT-kapaT aur na chhal chahiye hai
meri ghaflat hai tere husn-e-mujassam ka zawal
mujh ko tanhai mein pur-nur KHalal chahiye hai
ek muddat se main mahbus hun apne andar
dam ghuTa jata hai kuchh radd-o-badal chahiye hai
waqt ka koi taqaza nazar-andaz nahin
dil ba-zid hai use hairani ka hal chahiye hai
roTiyan senkne baiThe hain siyasat wale
un ko to barq-o-sharar raqs-e-ajal chahiye hai
istada hain gulistan mein bahaim har su
tairo ghul karo ye nek amal chahiye hai
in ko mahaul ki sangini ka ehsas nahin
jo ye kahte hain ki rangin ghazal chahiye hai
izzat-e-nafs ka mushkil hai tahaffuz yani
ek firqe ko yahan jang-o-jadal chahiye hai
'sarfaraaz' ab wahi haT-dharm qile ka ghasib
kah raha hai ki use taj-mahal chahiye hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.