koi mujhko takta hai kanakhiyon ke pahlu mein
koī mujh ko taktā hai kanakhiyoñ ke pahlū meñ
chehra muskurātā hai hichkiyoñ ke pahlū meñ
hañstī muskurātī vo mujh ko taktī rahtī hai
chāñd jaisī ik laḌkī khiḌkiyoñ ke pahlū meñ
pyaar paltā hai aksar saḳht-dil ke konoñ meñ
bārisheñ barastī haiñ bijliyoñ ke pahlū meñ
haath chhoḌ jaane kā māh-e-ġham december hai
pat-jhaḌeñ taḌaptī haiñ sardiyoñ ke pahlū meñ
ghar ke māñjhe kī Dorī chhat patañg aur bachcha
ab kahāñ ye milte haiñ charkhiy.on ke pahlū meñ
apne biivī bachchoñ kī yaad meñ taḌapte haiñ
sarhadoñ pe faujī dil vardiyoñ ke pahlū meñ
lahlahāte jañgal kī khilkhilātī bārish thī
mor nāchte dekhe hirniyoñ ke pahlū meñ
vo hasīñ bahāroñ sī baaġh meñ jab aatī hai
phuul khilne lagte haiñ titliyoñ ke pahlū meñ
niiñd jab khulī 'ulfat' us kī yaad aa baiThī
karvaTeñ liiñ sāñsoñ ne garmiyoñ ke pahlū meñ
koi mujh ko takta hai kanakhiyon ke pahlu mein
chehra muskuraata hai hichkiyon ke pahlu mein
hansti muskuraati wo mujh ko takti rahti hai
chand jaisi ek laDki khiDkiyon ke pahlu mein
pyar palta hai aksar saKHt-dil ke konon mein
barishen barasti hain bijliyon ke pahlu mein
hath chhoD jaane ka mah-e-gham december hai
pat-jhaDen taDapti hain sardiyon ke pahlu mein
ghar ke manjhe ki Dori chhat patang aur bachcha
ab kahan ye milte hain charkhiyon ke pahlu mein
apne biwi bachchon ki yaad mein taDapte hain
sarhadon pe fauji dil wardiyon ke pahlu mein
lahlahate jangal ki khilkhilati barish thi
mor nachte dekhe hirniyon ke pahlu mein
wo hasin bahaaron si bagh mein jab aati hai
phul khilne lagte hain titliyon ke pahlu mein
nind jab khuli 'ulfat' us ki yaad aa baiThi
karwaTen lin sanson ne garmiyon ke pahlu mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.