Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi mujh sa mustahiqq-e-rahm-o-gham-KHwari nahin

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

koi mujh sa mustahiqq-e-rahm-o-gham-KHwari nahin

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

MORE BYMunshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

    koī mujh mustahiqq-e-rahm-o-ġham-ḳhvārī nahīñ

    sau maraz haiñ aur ba-zāhir koī bīmārī nahīñ

    har qadam par bāġh-e-ālam meñ bichhā hai dām-e-husn

    kaun aisā hai jise zauq-e-giraftārī nahīñ

    dekhe gar ġhaur se duniyā hai ġhaflat tilism

    ye bhī ḳhvāb-e-ishq hai furqat se bedārī nahīñ

    jaan le kar bhī jo haath aa.e to arzāñ jāniye

    sahl aisī jins-e-ulfat ḳharīdārī nahīñ

    'ishq nākāmiyoñ ne is qadar khīñchā hai tuul

    mere ġham-ḳhvāroñ ko ab yārā-e-ġham-ḳhvārī nahīñ

    mujh se zabt-e-dard-e-ulfat shikāyat hai fuzūl

    ai dil-e-nādāñ tujhe ehsās-e-ḳhud-dārī nahīñ

    merī daulat dekh kar kyuuñ tum ne ThanDī saañs

    be-kasoñ par rasm-e-ā.īn-e-sitamgārī nahīñ

    har taraf se ye sadā aatī hai mulk-e-husn meñ

    ye vo duniyā hai jahāñ rasm-e-vafādārī nahīñ

    ho gayā shāyad ki sarf-e-soz-e-ġham sab ḳhūn-e-dil

    āñsuoñ ab vo dariyā aañkh se jaarī nahīñ

    us ko rahm aa.e kahāñ ye nā-umīdī meñ umiid

    dil ko ḳhush karnā hai shaġhl-e-girya-o-zārī nahīñ

    ham haiñ chup baiThe hue lekin hai dil masrūf-e-ishq

    is adīm-ul-fursatī naam bekārī nahīñ

    band āñkhoñ se nazar aatī hai har shai dahr

    ālam-e-rūyā meñ farq-e-ḳhvāb-o-bedārī nahīñ

    koi mujh sa mustahiqq-e-rahm-o-gham-KHwari nahin

    sau maraz hain aur ba-zahir koi bimari nahin

    har qadam par bagh-e-alam mein bichha hai dam-e-husn

    kaun aisa hai jise zauq-e-giraftari nahin

    dekhe gar ghaur se duniya hai ghaflat ka tilism

    ye bhi KHwab-e-ishq hai furqat se bedari nahin

    jaan le kar bhi jo hath aae to arzan jaaniye

    sahl aisi jins-e-ulfat ki KHaridari nahin

    'ishq ki nakaamiyon ne is qadar khincha hai tul

    mere gham-KHwaron ko ab yara-e-gham-KHwari nahin

    mujh se zabt-e-dard-e-ulfat ki shikayat hai fuzul

    ai dil-e-nadan tujhe ehsas-e-KHud-dari nahin

    meri daulat dekh kar kyun tum ne ThanDi sans li

    be-kason par rasm-e-ain-e-sitamgari nahin

    har taraf se ye sada aati hai mulk-e-husn mein

    ye wo duniya hai jahan rasm-e-wafadari nahin

    ho gaya shayad ki sarf-e-soz-e-gham sab KHun-e-dil

    aansuon ka ab wo dariya aankh se jari nahin

    us ko rahm aae kahan ye na-umidi mein umid

    dil ko KHush karna hai shaghl-e-girya-o-zari nahin

    hum hain chup baiThe hue lekin hai dil masruf-e-ishq

    is adim-ul-fursati ka nam bekari nahin

    band aankhon se nazar aati hai har shai dahr ki

    aalam-e-ruya mein farq-e-KHwab-o-bedari nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now