koi na ham-safar na koi rahnuma mila
koī na ham-safar na koī rahnumā milā
jis samt bhī gayā maiñ faqat naqsh-e-pā milā
asrār apnī zaat ke mujh par khule tamām
jab aap hī maiñ apne muqābil khaḌā milā
pūchhā jo sham' se to use chup sī lag ga.ī
badle meñ raushnī ke tujhe kyā sila milā
dekhā jo dil meñ jhāñk ke us ke nishāñ mile
ik aa.ine meñ aur bhī ik aa.ina milā
vo mujh se muḳhtalif thā maiñ us se thā muḳhtalif
phir us ke dil se kaise mirā dil ye jā milā
kuchh ḳhvāhisheñ thiiñ shauq the thoḌe se ḳhvāb the
kyā chāhiye thā ham ko magar kyā se kyā milā
shāyad ye zindagī ke hī sadmāt the ki jo
har shaḳhs apne aap se behad ḳhafā milā
koi na ham-safar na koi rahnuma mila
jis samt bhi gaya main faqat naqsh-e-pa mila
asrar apni zat ke mujh par khule tamam
jab aap hi main apne muqabil khaDa mila
puchha jo sham' se to use chup si lag gai
badle mein raushni ke tujhe kya sila mila
dekha jo dil mein jhank ke us ke nishan mile
ek aaine mein aur bhi ek aaina mila
wo mujh se muKHtalif tha main us se tha muKHtalif
phir us ke dil se kaise mera dil ye ja mila
kuchh KHwahishen thin shauq the thoDe se KHwab the
kya chahiye tha hum ko magar kya se kya mila
shayad ye zindagi ke hi sadmat the ki jo
har shaKHs apne aap se behad KHafa mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.