koi na jinko dekhna chahe hoti hain taswiren kuchh
koī na jin ko dekhnā chāhe hotī haiñ tasvīreñ kuchh
bigḌī jin ko kahte haiñ vo bantī haiñ taqdīreñ kuchh
us se milnā ek gumāñ thā jis ke pīchhe umr kaTī
chhoḌ rahe haiñ phir bhī dekho pīchhe ham tahrīreñ kuchh
qātil kī pahchān hai mushkil phir bhī ye batlāte haiñ
bholī sūrat mīThī bāteñ aatī haiñ taqrīreñ kuchh
tum ne jo talvāreñ dekhīñ jang-o-jadal ke kaam kī thiiñ
kaTte haiñ janmoñ ke rishte aisī haiñ shamshīreñ kuchh
lohe sone chāñdī kī har dhaat kī bantī hai zanjīr
mauj-e-havā meñ raqsāñ haiñ jo vo bhī haiñ zanjīreñ kuchh
koi na jin ko dekhna chahe hoti hain taswiren kuchh
bigDi jin ko kahte hain wo banti hain taqdiren kuchh
us se milna ek guman tha jis ke pichhe umr kaTi
chhoD rahe hain phir bhi dekho pichhe hum tahriren kuchh
qatil ki pahchan hai mushkil phir bhi ye batlate hain
bholi surat miThi baaten aati hain taqriren kuchh
tum ne jo talwaren dekhin jang-o-jadal ke kaam ki thin
kaTte hain janmon ke rishte aisi hain shamshiren kuchh
lohe sone chandi ki har dhat ki banti hai zanjir
mauj-e-hawa mein raqsan hain jo wo bhi hain zanjiren kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.