koi na samjhe chah ka matlab koi na jaane prit
koi na samjhe chah ka matlab koi na jaane prit
Asghar Ali Tabassum
MORE BYAsghar Ali Tabassum
koī na samjhe chaah kā matlab koī na jaane priit
kaun kisī ke dard ko jaane kaun kisī kā miit
koī nahīñ hai dil kā mahram koī nahīñ ġham-ḳhvār
aaj sunā.eñ kis ko ai dil dard bhare ye giit
aañkh se aañsū baheñ hamāre dil meñ aag jale
ik anjān ko kar baiThe haiñ jis din se ham miit
maiñ huuñ bhūlā bhaTkā raahī manzil merī duur
jaane is tūfānī khel meñ haar mile yā jiit
aag mohabbat kī jis dil meñ jal uTThe ik baar
saarī umr 'tabassum' us kī ro ro jaa.e biit
koi na samjhe chah ka matlab koi na jaane prit
kaun kisi ke dard ko jaane kaun kisi ka mit
koi nahin hai dil ka mahram koi nahin gham-KHwar
aaj sunaen kis ko ai dil dard bhare ye git
aankh se aansu bahen hamare dil mein aag jale
ek anjaan ko kar baiThe hain jis din se hum mit
main hun bhula bhaTka rahi manzil meri dur
jaane is tufani khel mein haar mile ya jit
aag mohabbat ki jis dil mein jal uTThe ek bar
sari umr 'tabassum' us ki ro ro jae bit
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.