koi na-mehrban hai aur main hun
koi na-mehrban hai aur main hun
Abul Baqa Sabr Saharanpuri
MORE BYAbul Baqa Sabr Saharanpuri
koī nā-mehrbāñ hai aur maiñ huuñ
hijāb-e-darmiyāñ hai aur maiñ huuñ
ġham-e-jaur-e-butāñ hai aur maiñ huuñ
ye ik koh-e-girāñ hai aur maiñ huuñ
ik āh-e-nā-tavāñ hai aur maiñ huuñ
mirī umr-e-ravāñ hai aur maiñ huuñ
idhar dil aur jigar meñ ik ḳhalish hai
udhar dard-e-nihāñ hai aur maiñ huuñ
ravāñ āñkhoñ se hai ashkoñ kā dariyā
ye bahr-e-bekarāñ hai aur maiñ huuñ
nafas hai aur gulshan kā tasavvur
ḳhayāl-e-āshiyāñ hai aur maiñ huuñ
namāz-e-ishq hai aur ye jabīñ hai
kisī kā āstāñ hai aur maiñ huuñ
hai merā tarjumān-e-ġham har aañsū
dahān-e-be-zabāñ hai aur maiñ huuñ
kisī kā qissa hai lab par shab-o-roz
kisī kī dāstāñ hai aur maiñ huuñ
kahūñ marqad meñ apnī bekasī kyā
ki ik tīra-makāñ hai aur maiñ huuñ
mirī hastī hai aur zarb-e-nafas hai
darā-e-kārvāñ hai aur maiñ huuñ
chaman hai aur mirī naġhma-sarā.ī
sabā hai bāġhbāñ hai aur maiñ huuñ
mirā har zaḳhm chhil kar rang laayā
bahār-e-be-ḳhizāñ hai aur maiñ huuñ
kisī kī yaad hai aur ḳhāna-e-dil
kisī kā mehmāñ hai aur maiñ huuñ
koī dam dard se ḳhālī nahīñ hai
jafā-e-āsmāñ hai aur maiñ huuñ
bahār aatī nahīñ mere chaman meñ
sadā daur-e-ḳhizāñ hai aur maiñ huuñ
idhar saaqī udhar dīdār-e-ḳhum hai
dar-e-pīr-e-muġhāñ hai aur maiñ huuñ
pata manzil kā kuchh miltā nahīñ hai
talāsh-e-kārvāñ hai aur maiñ huuñ
kahūñ ai 'sabr' apnā mashġhala kyā
ye ik urdu zabāñ hai aur maiñ huuñ
koi na-mehrban hai aur main hun
hijab-e-darmiyan hai aur main hun
gham-e-jaur-e-butan hai aur main hun
ye ek koh-e-giran hai aur main hun
ek aah-e-na-tawan hai aur main hun
meri umr-e-rawan hai aur main hun
idhar dil aur jigar mein ek KHalish hai
udhar dard-e-nihan hai aur main hun
rawan aankhon se hai ashkon ka dariya
ye bahr-e-bekaran hai aur main hun
nafas hai aur gulshan ka tasawwur
KHayal-e-ashiyan hai aur main hun
namaz-e-ishq hai aur ye jabin hai
kisi ka aastan hai aur main hun
hai mera tarjuman-e-gham har aansu
dahan-e-be-zaban hai aur main hun
kisi ka qissa hai lab par shab-o-roz
kisi ki dastan hai aur main hun
kahun marqad mein apni bekasi kya
ki ek tira-makan hai aur main hun
meri hasti hai aur zarb-e-nafas hai
dara-e-karwan hai aur main hun
chaman hai aur meri naghma-sarai
saba hai baghban hai aur main hun
mera har zaKHm chhil kar rang laya
bahaar-e-be-KHizan hai aur main hun
kisi ki yaad hai aur KHana-e-dil
kisi ka mehman hai aur main hun
koi dam dard se KHali nahin hai
jafa-e-asman hai aur main hun
bahaar aati nahin mere chaman mein
sada daur-e-KHizan hai aur main hun
idhar saqi udhar didar-e-KHum hai
dar-e-pir-e-mughan hai aur main hun
pata manzil ka kuchh milta nahin hai
talash-e-karwan hai aur main hun
kahun ai 'sabr' apna mashghala kya
ye ek urdu zaban hai aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.