Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi nadan na dana achchha

Aashiq Husain Bazm Afandi

koi nadan na dana achchha

Aashiq Husain Bazm Afandi

MORE BYAashiq Husain Bazm Afandi

    koī nādān na daanā achchhā

    aap achchhe to zamānā achchhā

    na huā dil lagānā achchhā

    ġhalatī nahīñ jaanā achchhā

    aise bigḌoñ banānā achchhā

    vo jo rūTheñ to manānā achchhā

    aa.e haiñ ġhair ko le kar ham-rāh

    aise aane se na aanā achchhā

    saath hai zer-e-zamīñ tāroñ ke

    ye milā us ko ḳhazāna achchhā

    ye muqābil hai vo sar chaḌhtā hai

    aa.ine se to hai shānā achchhā

    mujh se milne meñ bahāne na karo

    ḳhuun is se to bahānā achchhā

    ai hinā jaate haiñ vo ġhair ke ghar

    rang aise meñ jamānā achchhā

    loT huuñ ḳhāl-e-ruḳh-e-yār pe maiñ

    ho jo qismat meñ ye daanā achchhā

    bādshah se bhī nahīñ dabte the

    thā laḌakpan zamānā achchhā

    dard ho jis meñ hikāyat hai vo ḳhuub

    jo ho rangīñ vo fasānā achchhā

    tuur par kaam thā kyā jalve

    dil meñ āñkhoñ meñ samānā achchhā

    yahī ai 'bazm' rahe dil meñ ḳhayāl

    ham bure sab se zamānā achchhā

    koi nadan na dana achchha

    aap achchhe to zamana achchha

    na hua dil ka lagana achchha

    ghalati ki nahin jaana achchha

    aise bigDon ka banana achchha

    wo jo ruThen to manana achchha

    aae hain ghair ko le kar ham-rah

    aise aane se na aana achchha

    sath hai zer-e-zamin taron ke

    ye mila us ko KHazana achchha

    ye muqabil hai wo sar chaDhta hai

    aaine se to hai shana achchha

    mujh se milne mein bahane na karo

    KHun is se to bahana achchha

    ai hina jate hain wo ghair ke ghar

    rang aise mein jamana achchha

    loT hun KHal-e-ruKH-e-yar pe main

    ho jo qismat mein ye dana achchha

    baadshah se bhi nahin dabte the

    tha laDakpan ka zamana achchha

    dard ho jis mein hikayat hai wo KHub

    jo ho rangin wo fasana achchha

    tur par kaam tha kya jalwe ka

    dil mein aankhon mein samana achchha

    yahi ai 'bazm' rahe dil mein KHayal

    hum bure sab se zamana achchha

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now