aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi naghma banun chandni ne kaha chandni ke liye ek taza ghazal

Irfan Sattar

koi naghma banun chandni ne kaha chandni ke liye ek taza ghazal

Irfan Sattar

MORE BYIrfan Sattar

    koī naġhma banūñ chāñdnī ne kahā chāñdnī ke liye ek taaza ġhazal

    koī taaza ġhazal phir kisī ne kahā phir kisī ke liye ek taaza ġhazal

    zaḳhm-e-furqat ko palkoñ se siite hue saañs lene aadat meñ jiite hue

    ab bhī zinda ho tum zindagī ne kahā zindagī ke liye ek taaza ġhazal

    us ḳhvāhish pe tum ko bharosā bhī hai us ke hone na hone jhagḌā bhī hai

    lutf aayā tumheñ gumrahī ne kahā gumrahī ke liye ek taaza ġhazal

    aisī duniyā meñ kab tak guzārā kareñ tum kah do ki kaise gavārā kareñ

    raat mujh se mirī bebasī ne kahā bebasī ke liye ek taaza ġhazal

    manzaroñ se bahalnā zarūrī nahīñ ghar se bāhar nikalnā zarūrī nahīñ

    dil ko raushan karo raushnī ne kahā raushnī ke liye ek taaza ġhazal

    maiñ ibādat bhī huuñ maiñ mohabbat bhī huuñ zindagī numū alāmat bhī huuñ

    merī palkoñ pe Thahrī namī ne kahā is namī ke liye ek taaza ġhazal

    ārzūoñ maalā pirone se haiñ ye zamīñ āsmāñ mere hone se haiñ

    mujh pe bhī kuchh kaho aadmī ne kahā aadmī ke liye ek taaza ġhazal

    apnī tanhā.ī meñ raat maiñ thā magan ek aahaT huī dhyān meñ daf.atan

    mujh se bāteñ karo ḳhāmushī ne kahā ḳhāmushī ke liye ek taaza ġhazal

    jab rifāqat sāmāñ baham kar liyā maiñ ne āḳhir use ham-qadam kar liyā

    ab mire dukh saho ham-rahī ne kahā ham-rahī ke liye ek taaza ġhazal

    koi naghma banun chandni ne kaha chandni ke liye ek taza ghazal

    koi taza ghazal phir kisi ne kaha phir kisi ke liye ek taza ghazal

    zaKHm-e-furqat ko palkon se site hue sans lene ki aadat mein jite hue

    ab bhi zinda ho tum zindagi ne kaha zindagi ke liye ek taza ghazal

    us ki KHwahish pe tum ko bharosa bhi hai us ke hone na hone ka jhagDa bhi hai

    lutf aaya tumhein gumrahi ne kaha gumrahi ke liye ek taza ghazal

    aisi duniya mein kab tak guzara karen tum hi kah do ki kaise gawara karen

    raat mujh se meri bebasi ne kaha bebasi ke liye ek taza ghazal

    manzaron se bahalna zaruri nahin ghar se bahar nikalna zaruri nahin

    dil ko raushan karo raushni ne kaha raushni ke liye ek taza ghazal

    main ibaadat bhi hun main mohabbat bhi hun zindagi ki numu ki alamat bhi hun

    meri palkon pe Thahri nami ne kaha is nami ke liye ek taza ghazal

    aarzuon ki mala pirone se hain ye zamin aasman mere hone se hain

    mujh pe bhi kuchh kaho aadmi ne kaha aadmi ke liye ek taza ghazal

    apni tanhai mein raat main tha magan ek aahaT hui dhyan mein dafatan

    mujh se baaten karo KHamushi ne kaha KHamushi ke liye ek taza ghazal

    jab rifaqat ka saman baham kar liya main ne aaKHir use ham-qadam kar liya

    ab mere dukh saho ham-rahi ne kaha ham-rahi ke liye ek taza ghazal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now