koi nahin hai kushta-e-be-dil ke aas-pas
koī nahīñ hai kushta-e-be-dil ke ās-pās
phirtī hai be-kasī tire bismil ke ās-pās
rahtī thiiñ pahle hasrateñ jo dil ke ās-pās
dam toḌtī haiñ ab vahī bismil ke ās-pās
lailā ko kuchh payām sunānā hai qais kā
bād-e-sabā hai parda-e-mahmil ke ās-pās
hai hukm-e-yās shādī-e-ummīd ke liye
hargiz phaTakne paa.e na ye dil ke ās-pās
phande lagāte phirte haiñ sayyād baaġh meñ
shāḳhoñ par āshiyān-e-‘anādil ke ās-pās
armānoñ kā hai vasl meñ tāñtā bañdhā huā
kuchh dūr-dūr haiñ abhī kuchh dil ke ās-pās
‘ushshāq qatl ho ga.e sab qatl-gāh meñ
baaqī nahīñ rahā koī qātil ke ās-pās
kyā be-hijāb qais se lailā ho najd meñ
parde paḌe haiñ sharm ke mahmil ke ās-pās
hai yād-e-chashm-e-yār meñ mizhgāñ kī bhī ḳhalish
kuchh ḳhaar bhī haiñ ā.ina-e-dil ke ās-pās
yuuñ mere gird kohkan-o-qais haiñ 'shahīr'
jaise murīd murshid-e-kāmil ke ās-pās
koi nahin hai kushta-e-be-dil ke aas-pas
phirti hai be-kasi tere bismil ke aas-pas
rahti thin pahle hasraten jo dil ke aas-pas
dam toDti hain ab wahi bismil ke aas-pas
laila ko kuchh payam sunana hai qais ka
baad-e-saba hai parda-e-mahmil ke aas-pas
hai hukm-e-yas shadi-e-ummid ke liye
hargiz phaTakne pae na ye dil ke aas-pas
phande lagate phirte hain sayyaad bagh mein
shaKHon par aashiyan-e-‘anadil ke aas-pas
armanon ka hai wasl mein tanta bandha hua
kuchh dur-dur hain abhi kuchh dil ke aas-pas
‘ushshaq qatl ho gae sab qatl-gah mein
baqi nahin raha koi qatil ke aas-pas
kya be-hijab qais se laila ho najd mein
parde paDe hain sharm ke mahmil ke aas-pas
hai yaad-e-chashm-e-yar mein mizhgan ki bhi KHalish
kuchh KHar bhi hain aaina-e-dil ke aas-pas
yun mere gird kohkan-o-qais hain 'shahir'
jaise murid murshid-e-kaamil ke aas-pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.