koi nahin ki jise aashna-e-raaz karen
Interesting Fact
September 1983
koī nahīñ ki jise āshnā-e-rāz kareñ
to kyuuñ na phir ġham-e-dil hī se sāz-bāz kareñ
banā ke un ko bhī ḳhūgar niyāz-e-paiham kā
vo din bhī aa.e ki ham bhī butoñ se naaz kareñ
hisāb ho chukā kotāh-dastiyoñ kā to ab
ḳhayāl-e-silsila-e-gesū-e-darāz kareñ
agar sharāb meñ mastī bhī hai ḳhumār bhī hai
to kyuuñ na ārzū-e-chashm nīm-bāz kareñ
nazar meñ tundī-e-tishna-labī baḌhā ai shauq
ki jis se har dil-e-mīnā ko phir gudāz kareñ
huzūr-e-pīr-e-muġhāñ laġhzishoñ kī pursish hai
lo aao apne bhī qadmoñ ko sarfarāz kareñ
safar shabāb kā gar uzr thā to ab sar-e-shām
qazā-e-umr paḌheñ niyyat-e-namāz kareñ
koi nahin ki jise aashna-e-raaz karen
to kyun na phir gham-e-dil hi se saz-baz karen
bana ke un ko bhi KHugar niyaz-e-paiham ka
wo din bhi aae ki hum bhi buton se naz karen
hisab ho chuka kotah-dastiyon ka to ab
KHayal-e-silsila-e-gesu-e-daraaz karen
agar sharab mein masti bhi hai KHumar bhi hai
to kyun na aarzu-e-chashm nim-baz karen
nazar mein tundi-e-tishna-labi baDha ai shauq
ki jis se har dil-e-mina ko phir gudaz karen
huzur-e-pir-e-mughan laghzishon ki pursish hai
lo aao apne bhi qadmon ko sarfaraaz karen
safar shabab ka gar uzr tha to ab sar-e-sham
qaza-e-umr paDhen niyyat-e-namaz karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.