koi nahin ki yar ki lawe KHabar mujhe
koī nahīñ ki yaar kī laave ḳhabar mujhe
ai sail-e-ashk tū hī bahā de udhar mujhe
yā sub.h ho chuke kahīñ yā maiñ hī mar chukūñ
ro baiThūñ is sahar hī ko maiñ yā sahar mujhe
na dair hī ko samjhūñ huuñ na ka.aba ye tirā
phirtā hai ishtiyāq liye ghar-ba-ghar mujhe
minnat to sar pe tesha kī farhād tab maiñ luuñ
jab sar paTakne ko na ho dīvār-o-dar mujhe
kyā jā.ūñ jā.ūñ kartā hai jānāñ to baiTh jā
maiñ dekhūñ tujh ko aur tū dekh ik nazar mujhe
phir koī dam meñ aah ḳhudā jaane ye falak
le jaave kis taraf ko tujhe aur kidhar mujhe
ronā kabhī jo ā.ankhoñ bhī dekhā na thā 'hasan'
so ab falak ne dil kā kiyā nauhagar mujhe
koi nahin ki yar ki lawe KHabar mujhe
ai sail-e-ashk tu hi baha de udhar mujhe
ya subh ho chuke kahin ya main hi mar chukun
ro baiThun is sahar hi ko main ya sahar mujhe
na dair hi ko samjhun hun na kaba ye tera
phirta hai ishtiyaq liye ghar-ba-ghar mujhe
minnat to sar pe tesha ki farhad tab main lun
jab sar paTakne ko na ho diwar-o-dar mujhe
kya jaun jaun karta hai jaanan to baiTh ja
main dekhun tujh ko aur tu dekh ek nazar mujhe
phir koi dam mein aah KHuda jaane ye falak
le jawe kis taraf ko tujhe aur kidhar mujhe
rona kabhi jo aaankhon bhi dekha na tha 'hasan'
so ab falak ne dil ka kiya nauhagar mujhe
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.