koi nazara na KHud se alahada kije
koī nazāra na ḳhud se alāhada kiije
nazar-nazar meñ haiñ jalve muā.ina kiije
nazar ko pahle jilā de ke ā.īna kiije
phir us ke ba.ad ḳhudī kā mushāhida kiije
ḳhudī ḳhudā se judā ho to be-ḳhudī achchhī
vajūd vahm hai is ko alāhada kiije
nazar se duurī bhī vaj.h-e-huzūrī-e-dil hai
huzūr tajraba achchhā hai tajraba kiije
unhī kā dar hī to hai bazm-e-mumkināt tamām
jabīn-e-shauq ko phir vaqf-e-bārgah kiije
siyāh baḳht ko chamkānā hai agar manzūr
phir apne nāma-e-a.amāl ko siyah kiije
tamām chashm-e-karam aam hai zamāne par
idhar bhī chashm-e-karam apnī gāh-gāh kiije
jo be-talab ho ḳhushī us kā kījiye mātam
kabhī to lazzat-e-ġham ko bhī bā-mazā kiije
'hayāt' tab.a-e-ravānī meñ koī farq nahīñ
chaman tumhārā hai jī bhar ke zamzama kiije
koi nazara na KHud se alahada kije
nazar-nazar mein hain jalwe muaina kije
nazar ko pahle jila de ke aaina kije
phir us ke baad KHudi ka mushahida kije
KHudi KHuda se juda ho to be-KHudi achchhi
wajud wahm hai is ko alahada kije
nazar se duri bhi wajh-e-huzuri-e-dil hai
huzur tajraba achchha hai tajraba kije
unhi ka dar hi to hai bazm-e-mumkinat tamam
jabin-e-shauq ko phir waqf-e-bargah kije
siyah baKHt ko chamkana hai agar manzur
phir apne nama-e-amal ko siyah kije
tamam chashm-e-karam aam hai zamane par
idhar bhi chashm-e-karam apni gah-gah kije
jo be-talab ho KHushi us ka kijiye matam
kabhi to lazzat-e-gham ko bhi ba-maza kije
'hayat' taba-e-rawani mein koi farq nahin
chaman tumhaara hai ji bhar ke zamzama kije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.