koi nazar ho aqida bahut zaruri hai
koī nazar ho aqīda bahut zarūrī hai
amal pe apne bharosā bahut zarūrī hai
gharoñ se duur nikalnā bahut zarūrī hai
ye kaam azm-o-amal kā bahut zarūrī hai
lahū meñ Duube hue ehtijāj karte hue
saḌak saḌak se guzarnā bahut zarūrī hai
tū apne sāmne parda na Daal muñh na chhupā
tirā samāj se rishta bahut zarūrī hai
tumheñ ḳhabar hai safīrān-e-inqilāb ho tum
tumhāre haath meñ tesha bahut zarūrī hai
'vaqār' maiñ ne kisī ko nahīñ bulāyā vahāñ
jahāñ lagā ki sahārā bahut zarūrī hai
koi nazar ho aqida bahut zaruri hai
amal pe apne bharosa bahut zaruri hai
gharon se dur nikalna bahut zaruri hai
ye kaam azm-o-amal ka bahut zaruri hai
lahu mein Dube hue ehtijaj karte hue
saDak saDak se guzarna bahut zaruri hai
tu apne samne parda na Dal munh na chhupa
tera samaj se rishta bahut zaruri hai
tumhein KHabar hai safiran-e-inqilab ho tum
tumhaare hath mein tesha bahut zaruri hai
'waqar' main ne kisi ko nahin bulaya wahan
jahan laga ki sahaara bahut zaruri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.