koi nazron se kisi ki jo utar jata hai
koī nazroñ se kisī kī jo utar jaatā hai
us kā shīrāza-e-hastī hī bikhar jaatā hai
bil-yaqīñ yaar kī ik chashm-e-'ināyat ke tufail
'āshiq-e-zār kā paikar hī sañvar jaatā hai
nek-o-bad jo bhī hoñ ā'māl asāsa hai yahī
māsivā is ke na kuchh raḳht-e-safar jaatā hai
itnā āsāñ bhī nahīñ dars-e-mohabbat kā husūl
zer ko thāmo to hāthoñ se zabar jaatā hai
tirī ḳhāmosh-nigāhī bhī fusūñ rakhtī hai
an-kahā lafz bhī siine meñ utar jaatā hai
shaukat-e-'ishq to ḳhāmoshī-e-'ushshāq se hai
aah karne se mohabbat kā asar jaatā hai
'shād' iḳhlās kī daulat ko sañbhāle rakhiye
husn-e-kirdār se insān sañvar jaatā hai
koi nazron se kisi ki jo utar jata hai
us ka shiraaza-e-hasti hi bikhar jata hai
bil-yaqin yar ki ek chashm-e-'inayat ke tufail
'ashiq-e-zar ka paikar hi sanwar jata hai
nek-o-bad jo bhi hon aa'mal asasa hai yahi
masiwa is ke na kuchh raKHt-e-safar jata hai
itna aasan bhi nahin dars-e-mohabbat ka husul
zer ko thamo to hathon se zabar jata hai
teri KHamosh-nigahi bhi fusun rakhti hai
an-kaha lafz bhi sine mein utar jata hai
shaukat-e-'ishq to KHamoshi-e-'ushshaq se hai
aah karne se mohabbat ka asar jata hai
'shad' iKHlas ki daulat ko sanbhaale rakhiye
husn-e-kirdar se insan sanwar jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.