koi nigah-e-pareshan meri talash mein hai
koi nigah-e-pareshan meri talash mein hai
Bhagwan Khilnani Saqi
MORE BYBhagwan Khilnani Saqi
koī nigāh-e-pareshāñ mirī talāsh meñ hai
ġham-e-hayāt kā sāmāñ mirī talāsh meñ hai
maiñ apne aap pe shaidā huā huuñ jis din se
tabhī se husn-e-nigārāñ mirī talāsh meñ hai
mujhe to vāsta koī nahīñ hai duniyā se
na jaane phir bhī kyoñ insāñ mirī talāsh meñ hai
jo apne aap ko ab tak talāsh kar na sakā
sunā hai maiñ ne vo nādāñ mirī talāsh meñ hai
kisī hasīñ ne sunā.ī hai jab se merī ġhazal
tabhī se mahfil-e-yārāñ mirī talāsh meñ hai
marīz-e-ishq huuñ aur husn hai davā merī
mire hī dard kā darmāñ mirī talāsh meñ hai
koi nigah-e-pareshan meri talash mein hai
gham-e-hayat ka saman meri talash mein hai
main apne aap pe shaida hua hun jis din se
tabhi se husn-e-nigaran meri talash mein hai
mujhe to wasta koi nahin hai duniya se
na jaane phir bhi kyon insan meri talash mein hai
jo apne aap ko ab tak talash kar na saka
suna hai main ne wo nadan meri talash mein hai
kisi hasin ne sunai hai jab se meri ghazal
tabhi se mahfil-e-yaran meri talash mein hai
mariz-e-ishq hun aur husn hai dawa meri
mere hi dard ka darman meri talash mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.