koi nigah se aaya guman mein phail gaya
koī nigāh se aayā gumāñ meñ phail gayā
balā kā lutf mire jism-o-jāñ meñ phail gayā
fuzūl kaam samajhtā thā shā.irī ko magar
ye kārobār to saare jahāñ meñ phail gayā
kisī se talḳh-kalāmī ke ham nahīñ qaa.il
tumhārā zahr hamārī zabāñ meñ phail gayā
tumheñ to aise taraqqī milī yahāñ jaise
uThā zamīñ se dhuāñ āsmāñ meñ phail gayā
koi nigah se aaya guman mein phail gaya
bala ka lutf mere jism-o-jaan mein phail gaya
fuzul kaam samajhta tha shairi ko magar
ye karobar to sare jahan mein phail gaya
kisi se talKH-kalami ke hum nahin qail
tumhaara zahr hamari zaban mein phail gaya
tumhein to aise taraqqi mili yahan jaise
uTha zamin se dhuan aasman mein phail gaya
- Book : Scan File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.