koi panw safar mein rakh
koī paañv safar meñ rakh
mausam ko bistar meñ rakh
ghar kā ḳharch nazar meñ rakh
kuchh paise bhī ghar meñ rakh
izzat jaan bachā.e jo
vo fitrat ḳhanjar meñ rakh
achchhā zevar ḳhuddārī
kam-zarfī mat sar meñ rakh
tap kar kundan bantā hai
gardish ko Thokar meñ rakh
'paikar' aish jo karnī hai
business do number meñ rakh
koi panw safar mein rakh
mausam ko bistar mein rakh
ghar ka KHarch nazar mein rakh
kuchh paise bhi ghar mein rakh
izzat jaan bachae jo
wo fitrat KHanjar mein rakh
achchha zewar KHuddari
kam-zarfi mat sar mein rakh
tap kar kundan banta hai
gardish ko Thokar mein rakh
'paikar' aish jo karni hai
business do number mein rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.