koi pahlu bhi ab naya nahin hai
koī pahlū bhī ab nayā nahīñ hai
baat karne ko kuchh bachā nahīñ hai
ham tujhe dekhne ko tarse haiñ
aur tū jaan kar milā nahīñ hai
ek chiḌiyā ke āshiyāne ko
shahr bhar meñ kahīñ jagah nahīñ hai
saiñkaḌoñ alvidā'ī sandese
aur vo aaj tak gayā nahīñ hai
jab bhī chāhoge chhoḌ doge miyāñ
shā'irī hai koī nasha nahīñ hai
aaj bhī ḳhair kī ḳhabar na milī
aur aage bhī aasrā nahīñ hai
baap jaisā shafīq āñgan thā
ab mirā us se vāsta nahīñ hai
dil-zadoñ ke liye shifā kī du'ā
mo'jiza ho koī davā nahīñ hai
koi pahlu bhi ab naya nahin hai
baat karne ko kuchh bacha nahin hai
hum tujhe dekhne ko tarse hain
aur tu jaan kar mila nahin hai
ek chiDiya ke aashiyane ko
shahr bhar mein kahin jagah nahin hai
sainkaDon alwida'i sandese
aur wo aaj tak gaya nahin hai
jab bhi chahoge chhoD doge miyan
sha'iri hai koi nasha nahin hai
aaj bhi KHair ki KHabar na mili
aur aage bhi aasra nahin hai
bap jaisa shafiq aangan tha
ab mera us se wasta nahin hai
dil-zadon ke liye shifa ki du'a
mo'jiza ho koi dawa nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.