Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi pahlu mein sanam ho to ghazal hoti hai

Khwaja Rafat Husain Naiyer

koi pahlu mein sanam ho to ghazal hoti hai

Khwaja Rafat Husain Naiyer

MORE BYKhwaja Rafat Husain Naiyer

    koī pahlū meñ sanam ho to ġhazal hotī hai

    husn mā.il-ba-karam ho to ġhazal hotī hai

    dil meñ pinhāñ koī ġham ho to ġhazal hotī hai

    zindagī ġham se raqam ho to ġhazal hotī hai

    ham liye zād-e-safar dard sauġhāt chale

    ham-safar koī alam ho to ġhazal hotī hai

    duur rah kar nahīñ khil sakte tamanna ke gulāb

    fāsla kuchh zarā kam ho to ġhazal hotī hai

    chāñd se mukhḌe pe bikhrī hoñ jo kaalī zulfeñ

    aur kisī zulf meñ ḳham ho to ġhazal hotī hai

    kuchh tajallī ruḳh-e-dil-dār se āñkhoñ ko mile

    rū-ba-rū rū-e-sanam ho to ġhazal hotī hai

    vo agar rūThe haiñ 'nayyar' to nahīñ hotī ġhazal

    un altāf-o-karam ho to ġhazal hotī hai

    koi pahlu mein sanam ho to ghazal hoti hai

    husn mail-ba-karam ho to ghazal hoti hai

    dil mein pinhan koi gham ho to ghazal hoti hai

    zindagi gham se raqam ho to ghazal hoti hai

    hum liye zad-e-safar dard ki saughat chale

    ham-safar koi alam ho to ghazal hoti hai

    dur rah kar nahin khil sakte tamanna ke gulab

    fasla kuchh zara kam ho to ghazal hoti hai

    chand se mukhDe pe bikhri hon jo kali zulfen

    aur kisi zulf mein KHam ho to ghazal hoti hai

    kuchh tajalli ruKH-e-dil-dar se aankhon ko mile

    ru-ba-ru ru-e-sanam ho to ghazal hoti hai

    wo agar ruThe hain 'nayyar' to nahin hoti ghazal

    un ka altaf-o-karam ho to ghazal hoti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now