koi pahra laga nahin hota
koī pahra lagā nahīñ hotā
maiñ hī phir bhī rahā nahīñ hotā
ḳhuun dil kā huā to ye jaanā
naqsh kyuuñ der-pā nahīñ hotā
vaqt kyuuñ hai ġhubār āñkhoñ meñ
aks bhī āshnā nahīñ hotā
kuchh to dil se kahā hai āñkhoñ ne
zaḳhm-e-dil kyā harā nahīñ hotā
phir use hī talāsh kartā huuñ
jis kā koī patā nahīñ hotā
jo bhī apnī zabāñ se detā vo
zā.iqa bad-maza nahīñ hotā
koi pahra laga nahin hota
main hi phir bhi raha nahin hota
KHun dil ka hua to ye jaana
naqsh kyun der-pa nahin hota
waqt kyun hai ghubar aankhon mein
aks bhi aashna nahin hota
kuchh to dil se kaha hai aankhon ne
zaKHm-e-dil kya hara nahin hota
phir use hi talash karta hun
jis ka koi pata nahin hota
jo bhi apni zaban se deta wo
zaiqa bad-maza nahin hota
- Book : Simati Dhoop (Pg. 31)
- Author : Rifat Shamim's
- Publication : Qalam Publications (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.