koi paikar zarur ubhrega
koī paikar zarūr ubhregā
zarb-e-tesha agar lagā.ūñ maiñ
pāra-e-barq shahparoñ meñ hai
hadd-e-imkāñ ke paar jā.ūñ maiñ
mirā ham-zād so gayā thak kar
kaise us ko bhalā jagā.ūñ maiñ
nahīñ manzūr ye anā ko mirī
dil-e-bismil use dikhā.ūñ maiñ
jo dikhā.e mujhe mirī sūrat
aa.ina vo kahāñ se lā.ūñ maiñ
ism-e-āzam kā luuñ sahārā aur
ātish-e-yam meñ kuud jā.ūñ maiñ
zad meñ ā.ūñgā ḳhud hī maiñ 'sāhil'
teġh apnī agar uThā.ūñ maiñ
koi paikar zarur ubhrega
zarb-e-tesha agar lagaun main
para-e-barq shahparon mein hai
hadd-e-imkan ke par jaun main
mera ham-zad so gaya thak kar
kaise us ko bhala jagaun main
nahin manzur ye ana ko meri
dil-e-bismil use dikhaun main
jo dikhae mujhe meri surat
aaina wo kahan se laun main
ism-e-azam ka lun sahaara aur
aatish-e-yam mein kud jaun main
zad mein aaunga KHud hi main 'sahil'
tegh apni agar uThaun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.