koi panchhi uDan mein bhi nahin
koī panchhī uḌaan meñ bhī nahīñ
tiir us kī kamān meñ bhī nahīñ
zabt karne kī ḳhū nahīñ us meñ
hausla us ke maan meñ bhī nahīñ
dhuup itnī hai ġham ke sahrā meñ
saaya is sā.ebān meñ bhī nahīñ
naqsh bar-āb ho gayā har aks
koī paikar chaTān meñ bhī nahīñ
ek din ajnabī mileñge ham
hādisa ye gumān meñ bhī nahīñ
jitnā tārīk dil hai tere baġhair
ye añdherā jahān meñ bhī nahīñ
koi panchhi uDan mein bhi nahin
tir us ki kaman mein bhi nahin
zabt karne ki KHu nahin us mein
hausla us ke man mein bhi nahin
dhup itni hai gham ke sahra mein
saya is saeban mein bhi nahin
naqsh bar-ab ho gaya har aks
koi paikar chaTan mein bhi nahin
ek din ajnabi milenge hum
hadisa ye guman mein bhi nahin
jitna tarik dil hai tere baghair
ye andhera jahan mein bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.