koi parchhain zer-e-asman rahne nahin dunga
koī parchhā.īñ zer-e-āsmāñ rahne nahīñ dūñgā
kisī ke sar pe koī sā.ebāñ rahne nahīñ dūñgā
maiñ pahle munhadim kar dūñgā har shai har ta'alluq ko
phir us ke baad dhartī pe makāñ rahne nahīñ dūñgā
maiñ ik lā-intihā kī aarzū meñ saarī duniyā ko
asīr-e-ḳhvāhish-e-vahm-o-gumāñ rahne nahīñ dūñgā
maiñ parde chaak kar dūñgā sabhī be-ma.anī rishtoñ ke
kisī ko bhī kisī pe meherbāñ rahne nahīñ dūñgā
ta'alluq gar nahīñ koī to rāh-o-rasm-e-duniyā bhī
maiñ apne aur tumhāre darmiyāñ rahne nahīñ dūñgā
maiñ ''pahle khīñch lūñgā paañv ke nīche se dhartī ko
phir us ke baa'd sar pe āsmāñ rahne nahīñ dūñgā
koi parchhain zer-e-asman rahne nahin dunga
kisi ke sar pe koi saeban rahne nahin dunga
main pahle munhadim kar dunga har shai har ta'alluq ko
phir us ke baad dharti pe makan rahne nahin dunga
main ek la-intiha ki aarzu mein sari duniya ko
asir-e-KHwahish-e-wahm-o-guman rahne nahin dunga
main parde chaak kar dunga sabhi be-mani rishton ke
kisi ko bhi kisi pe meherban rahne nahin dunga
ta'alluq gar nahin koi to rah-o-rasm-e-duniya bhi
main apne aur tumhaare darmiyan rahne nahin dunga
main pahle khinch lunga panw ke niche se dharti ko
phir us ke ba'd sar pe aasman rahne nahin dunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.