koi parwah nahin hai ki wo sar kaTenge
koī parvāh nahīñ hai ki vo sar kāTeñge
ham mohabbat se hī nafrat kā asar kāTeñge
azm-e-farhād ne auzār se kaaTā thā pahāḌ
ham rag-e-gul se bhī patthar kā jigar kāTeñge
log ehsān ko ehsān samajhte kab haiñ
jis ke saa.e meñ paleñge vo shajar kāTeñge
phir tire aane kī ummīd-e-sub.h jāgegī
phir tirī yaad meñ ham aaTh pahar kāTeñge
aap ne uḌnā kabhī jis ko sikhāyā 'imrān'
likh rakheñ ye ki vahī aap ke par kāTeñge
koi parwah nahin hai ki wo sar kaTenge
hum mohabbat se hi nafrat ka asar kaTenge
azm-e-farhad ne auzar se kaTa tha pahaD
hum rag-e-gul se bhi patthar ka jigar kaTenge
log ehsan ko ehsan samajhte kab hain
jis ke sae mein palenge wo shajar kaTenge
phir tere aane ki ummid-e-subh jagegi
phir teri yaad mein hum aaTh pahar kaTenge
aap ne uDna kabhi jis ko sikhaya 'imran'
likh rakhen ye ki wahi aap ke par kaTenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.