koi patthar koi guhar kyun hai
koī patthar koī guhar kyuuñ hai
farq logoñ meñ is qadar kyuuñ hai
tū milā hai to ye ḳhayāl aayā
zindagī itnī muḳhtasar kyuuñ hai
jab tujhe lauT kar nahīñ aanā
muntazir merī chashm-e-tar kyuuñ hai
us kī āñkheñ kahīñ sadaf to nahīñ
us kā har ashk hī guhar kyuuñ hai
raat pahle hī kyuuñ nahīñ Dhaltī
tīrgī shab kī tā-sahar kyuuñ hai
ye bhī kaisā azaab de Daalā
hai mohabbat to is qadar kyuuñ hai
tū nahīñ hai to roz-o-shab kaise
shaam kyuuñ aa ga.ī sahar kyuuñ hai
kyuuñ ravāna hai har ghaḌī duniyā
zindagī mustaqil safar kyuuñ hai
maiñ to ik mustaqil musāfir huuñ
tū bhalā merā ham-safar kyuuñ hai
tujhe milnā nahīñ kisī se 'adīm'
phir bichhaḌne kā tujh ko Dar kyuuñ hai
koi patthar koi guhar kyun hai
farq logon mein is qadar kyun hai
tu mila hai to ye KHayal aaya
zindagi itni muKHtasar kyun hai
jab tujhe lauT kar nahin aana
muntazir meri chashm-e-tar kyun hai
us ki aankhen kahin sadaf to nahin
us ka har ashk hi guhar kyun hai
raat pahle hi kyun nahin Dhalti
tirgi shab ki ta-sahar kyun hai
ye bhi kaisa azab de Dala
hai mohabbat to is qadar kyun hai
tu nahin hai to roz-o-shab kaise
sham kyun aa gai sahar kyun hai
kyun rawana hai har ghaDi duniya
zindagi mustaqil safar kyun hai
main to ek mustaqil musafir hun
tu bhala mera ham-safar kyun hai
tujhe milna nahin kisi se 'adim'
phir bichhaDne ka tujh ko Dar kyun hai
- Book : Faasle aise bhii ho.nge (Pg. 50)
- Author : Adeem Hashmi
- Publication : Rumail House of Publications (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.