koi pura jo muddaa na hua
koī puurā jo mudda.ā na huā
zindagī ke liye burā na huā
ai ġham-e-dil vo aa ke lauT ga.e
ḳhatm terā bhī ab fasāna huā
kījiye kyā ki girya-e-paiham
dil-e-muztar kā aasrā na huā
vo batā.egā qurb-o-dūrī ko
paas rah kar jo aap kā na huā
jaan āñkhoñ meñ aa ga.ī lekin
chārāgar dard-āshnā na huā
kyā bigāḌegā ai 'kalīm' āḳhir
gar muḳhālif tirā zamāna huā
koi pura jo muddaa na hua
zindagi ke liye bura na hua
ai gham-e-dil wo aa ke lauT gae
KHatm tera bhi ab fasana hua
kijiye kya ki girya-e-paiham
dil-e-muztar ka aasra na hua
wo bataega qurb-o-duri ko
pas rah kar jo aap ka na hua
jaan aankhon mein aa gai lekin
chaaragar dard-ashna na hua
kya bigaDega ai 'kalim' aaKHir
gar muKHalif tera zamana hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.