koi pyasa na rahe aaj wo kah kar nikla
koī pyāsā na rahe aaj vo kah kar niklā
abr ban kar mirī bastī se samundar niklā
log bādal kī tarah raah meñ aa.e varna
maiñ to sūraj kī tarah ghar se barābar niklā
jis ne chūme the mire paañv baḌe pyaar ke saath
ḳhvāb TuuTā to vahī aag kā bistar niklā
umr bhar ret ke sāgar meñ chalā.ī kashtī
aur Duubā to ḳhalāoñ ke bhī uupar niklā
kyā ta.alluq thā kisī shahr ke logoñ se magar
jo bhī 'anjum' se milā aaj vo ro kar niklā
koi pyasa na rahe aaj wo kah kar nikla
abr ban kar meri basti se samundar nikla
log baadal ki tarah rah mein aae warna
main to suraj ki tarah ghar se barabar nikla
jis ne chume the mere panw baDe pyar ke sath
KHwab TuTa to wahi aag ka bistar nikla
umr bhar ret ke sagar mein chalai kashti
aur Duba to KHalaon ke bhi upar nikla
kya talluq tha kisi shahr ke logon se magar
jo bhi 'anjum' se mila aaj wo ro kar nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.