koi qimat lagae sae ki
koī qīmat lagā.e saa.e kī
hai ye dīvār bhī kirā.e kī
bujh gayā hai paḌā paḌā cigarette
chuskiyāñ le rahā huuñ chaa.e kī
ham pe masnū'ī dhuup phailā kar
ujrateñ māñgte haiñ saa.e kī
vo jo gumnām se suḳhan-var haiñ
shā'irī kar rahe haiñ paa.e kī
raqs-o-mai kī sajī ye mahfil aur
saath meñ halkī halkī gā.ikī
mashvara aap se liyā ham ne
aur phir radd sabhī kī raa.e kī
apne saare ḳhafā haiñ 'ārif' jī
aap ko fikr hai parā.e kī
koi qimat lagae sae ki
hai ye diwar bhi kirae ki
bujh gaya hai paDa paDa cigarette
chuskiyan le raha hun chae ki
hum pe masnu'i dhup phaila kar
ujraten mangte hain sae ki
wo jo gumnam se suKHan-war hain
sha'iri kar rahe hain pae ki
raqs-o-mai ki saji ye mahfil aur
sath mein halki halki gaiki
mashwara aap se liya hum ne
aur phir radd sabhi ki rae ki
apne sare KHafa hain 'arif' ji
aap ko fikr hai parae ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.