koi rahzan na ab rahbar chahiye
koī rahzan na ab rāhbar chāhiye
is safar meñ hameñ ham-safar chāhiye
dushmanoñ ko to tum jānte ho magar
dostoñ kī bhī thoḌī ḳhabar chāhiye
ḳhūbsūrat hai duniyā bahut dosto
dekhne ke liye bas nazar chāhiye
log sun leñge aur maan bhī jā.eñge
baat meñ apnī lekin asar chāhiye
ham paḌosī se apne rahe be-ḳhabar
saarī duniyā kī ham ko ḳhabar chāhiye
raushnī aañkh bhar chhāñv bas haath bhar
aur havā bas hameñ saañs bhar chāhiye
hai Thikāna har ik dil meñ 'āġhāz' kā
un ke rahne ko bas ek ghar chāhiye
koi rahzan na ab rahbar chahiye
is safar mein hamein ham-safar chahiye
dushmanon ko to tum jaante ho magar
doston ki bhi thoDi KHabar chahiye
KHubsurat hai duniya bahut dosto
dekhne ke liye bas nazar chahiye
log sun lenge aur man bhi jaenge
baat mein apni lekin asar chahiye
hum paDosi se apne rahe be-KHabar
sari duniya ki hum ko KHabar chahiye
raushni aankh bhar chhanw bas hath bhar
aur hawa bas hamein sans bhar chahiye
hai Thikana har ek dil mein 'aghaz' ka
un ke rahne ko bas ek ghar chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.