koi ranj hai na shikayaten mujhe apne hosh-e-parida se
koi ranj hai na shikayaten mujhe apne hosh-e-parida se
Sirajuddin Zafar
MORE BYSirajuddin Zafar
koī rañj hai na shikāyateñ mujhe apne hosh-e-parīda se
ye vo sham.a thī jo bhaḌak uThī mirī āh-e-nīm-kashīda se
mirī vahshatoñ kī hai intihā ki kisī kā husn hai rūnumā
kabhī mere dāman-e-chāk se kabhī merī jeb-e-darīda se
maiñ numūd-e-husn-e-alast huuñ maiñ charāġh-e-ishq-ba-dast huuñ
ye tajalliyāt-e-bahār haiñ mire rang-o-bū-e-parīda se
tirī yaad merī aniis hai tirī yaad merī jalīs hai
mirī zindagī kī numūd hai tirī ārzū-e-tapīda se
maiñ haram meñ mahv-e-niyāz thā maiñ butoñ meñ sajda-tarāz thā
kabhī imtiyāz na ho sakā mire zauq-e-hijr-chashīda se
koī ārzū-e-dilī 'sirāj' murād ko na pahuñch sakī
koī phuul baar na pā sakā mirī kisht-e-barq-rasīda se
koi ranj hai na shikayaten mujhe apne hosh-e-parida se
ye wo shama thi jo bhaDak uThi meri aah-e-nim-kashida se
meri wahshaton ki hai intiha ki kisi ka husn hai runuma
kabhi mere daman-e-chaak se kabhi meri jeb-e-darida se
main numud-e-husn-e-alast hun main charagh-e-ishq-ba-dast hun
ye tajalliyat-e-bahaar hain mere rang-o-bu-e-parida se
teri yaad meri anis hai teri yaad meri jalis hai
meri zindagi ki numud hai teri aarzu-e-tapida se
main haram mein mahw-e-niyaz tha main buton mein sajda-taraaz tha
kabhi imtiyaz na ho saka mere zauq-e-hijr-chashida se
koi aarzu-e-dili 'siraj' murad ko na pahunch saki
koi phul bar na pa saka meri kisht-e-barq-rasida se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.