koi ranj-o-alam nahin honge
koī ranj-o-alam nahīñ hoñge
ham pe zulm-o-sitam nahīñ hoñge
dekhnā aur sunñā kaam haiñ do
dīda-o-dil baham nahīñ hoñge
ham bhī dekheñge vo jahān tirā
jahāñ ranj-o-alam nahīñ hoñge
bhuul jā.egī ham ko ye duniyā
yā'nī qisse raqam nahīñ hoñge
zeb-e-qirtās hogā na koī lafz
jo vo husn-e-qalam nahīñ hoñge
kyā zarūrī hai un ke baa'd 'umar'
mere dil par sitam nahīñ hoñge
koi ranj-o-alam nahin honge
hum pe zulm-o-sitam nahin honge
dekhna aur sunna kaam hain do
dida-o-dil baham nahin honge
hum bhi dekhenge wo jahan tera
jahan ranj-o-alam nahin honge
bhul jaegi hum ko ye duniya
ya'ni qisse raqam nahin honge
zeb-e-qirtas hoga na koi lafz
jo wo husn-e-qalam nahin honge
kya zaruri hai un ke ba'd 'umar'
mere dil par sitam nahin honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.