koi rasta nahin jata KHushi tak
koī rasta nahīñ jaatā ḳhushī tak
bhaTak jaatī yahāñ par zindagī tak
usī se duur jaanā hai hameñ aur
pahuñch jaate haiñ aksar ham usī tak
hameñ phir se milegā vo kisī din
yahī ham sochte haiñ āḳhirī tak
agar ham shā.erī karte nahīñ to
kahānī bhī nahīñ jaatī kisī tak
ḳhafā rahtī hai tujh se raushnī kyoñ
yahī to pūchhtī hai tīrgī tak
hue badnām ham to āshiqī meñ
kahāñ par ho sakī ye āshiqī tak
samay achchhā nahīñ hai aur socho
paḌī hai band kab se ye ghaḌī tak
isī kāran hue the ajnabī ham
mohabbat khā ga.ī thī dostī tak
koi rasta nahin jata KHushi tak
bhaTak jati yahan par zindagi tak
usi se dur jaana hai hamein aur
pahunch jate hain aksar hum usi tak
hamein phir se milega wo kisi din
yahi hum sochte hain aaKHiri tak
agar hum shaeri karte nahin to
kahani bhi nahin jati kisi tak
KHafa rahti hai tujh se raushni kyon
yahi to puchhti hai tirgi tak
hue badnam hum to aashiqi mein
kahan par ho saki ye aashiqi tak
samay achchha nahin hai aur socho
paDi hai band kab se ye ghaDi tak
isi karan hue the ajnabi hum
mohabbat kha gai thi dosti tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.