koi rishta koi bandhan nahin hai
koī rishta koī bandhan nahīñ hai
mujhe ghar jaane kā ab man nahīñ hai
chalā jā.ūñ ki ab maiñ luuT aa.uuñ
mujhe aisī koī uljhan nahīñ hai
ujāloñ meñ añdhere DhūñD leñge
jinheñ mālik tirā simran nahīñ hai
kabhī is prem kī dekho vyathā tum
jahāñ rādhā to hai mohan nahīñ hai
yahāñ ab shiv kī mahimā kaun gaa.e
ye kalyug hai yahāñ rāvan nahīñ hai
tire jaane se yuuñ lagne lagā hai
hriday meñ ab mere kampan nahīñ hai
kabhī sandeh ho to yaad rakhnā
adharmī ke liye darshan nahīñ hai
mujhe ab jiit kar bhī kyā milegā
mirā koī bhī ab dushman nahīñ hai
duā paḌhtā rahā us ke liye maiñ
sivā is ke koī pūjan nahīñ hai
tire tan pe saje zevar bahut haiñ
mirī maañ ke diye kangan nahīñ haiñ
koi rishta koi bandhan nahin hai
mujhe ghar jaane ka ab man nahin hai
chala jaun ki ab main luT aaun
mujhe aisi koi uljhan nahin hai
ujalon mein andhere DhunD lenge
jinhen malik tera simran nahin hai
kabhi is prem ki dekho wyatha tum
jahan radha to hai mohan nahin hai
yahan ab shiw ki mahima kaun gae
ye kalyug hai yahan rawan nahin hai
tere jaane se yun lagne laga hai
hriday mein ab mere kampan nahin hai
kabhi sandeh ho to yaad rakhna
adharmi ke liye darshan nahin hai
mujhe ab jit kar bhi kya milega
mera koi bhi ab dushman nahin hai
dua paDhta raha us ke liye main
siwa is ke koi pujan nahin hai
tere tan pe saje zewar bahut hain
meri man ke diye kangan nahin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.