koi rishta purana ho gaya hai
koī rishta purānā ho gayā hai
tumheñ dekhe zamāna ho gayā hai
tumhārī yaad aate hī zehn meñ
burā mausam suhānā ho gayā hai
havā kī be-hayā.ī kyā batā.eñ
bahut mushkil zamāna ho gayā hai
laboñ ko kholnā bhī jurm Thahrā
musībat muskurānā ho gayā hai
hamāre shahr kā māhaul ek-dam
bigaḌ kar qātilāna ho gayā hai
ye kaise moḌ par le aa.ī duniyā
haqīqat kā fasāna ho gayā hai
koi rishta purana ho gaya hai
tumhein dekhe zamana ho gaya hai
tumhaari yaad aate hi zehn mein
bura mausam suhana ho gaya hai
hawa ki be-hayai kya bataen
bahut mushkil zamana ho gaya hai
labon ko kholna bhi jurm Thahra
musibat muskurana ho gaya hai
hamare shahr ka mahaul ek-dam
bigaD kar qatilana ho gaya hai
ye kaise moD par le aai duniya
haqiqat ka fasana ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.