koi rishta tere paiman se joDa jae
koī rishta tire paimān se joḌā jaa.e
ab mire hijr ko unvān se joḌā jaa.e
qissa-e-husn ko kan.ān se joḌā jaa.e
ishq ko phir kisī zindān se joḌā jaa.e
ye to panchhī haiñ na.ī rut meñ palaT jā.eñge
rabt kaise kisī mehmān se joḌā jaa.e
ashk siine se ravāna hue āñkhoñ kī taraf
un kī tuġhyānī ko tūfān se joḌā jaa.e
tirī tahzīb se vahshat ko bhī ḳhauf aatā hai
tirī bastī ko bayābān se joḌā jaa.e
koi rishta tere paiman se joDa jae
ab mere hijr ko unwan se joDa jae
qissa-e-husn ko kanan se joDa jae
ishq ko phir kisi zindan se joDa jae
ye to panchhi hain nai rut mein palaT jaenge
rabt kaise kisi mehman se joDa jae
ashk sine se rawana hue aankhon ki taraf
un ki tughyani ko tufan se joDa jae
teri tahzib se wahshat ko bhi KHauf aata hai
teri basti ko bayaban se joDa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.